Umrah aur Hajj

Hajj aur Umrah aik aisa safar hai jiski adaigi ke liye har musalman ko Makkah jana parta hai jahan Allah ka ghar kaaba hai. Hajj ke arkan ki adaigi mein Makkah ke ilawa Mina, Arafat, Muzdalifah ke muqamat shamil hein jinki taraf hum safar karte hein aur Hajj ke arkan ki Allah ki mehkom ayaat aur qanoon ke mutabiq adaigi karte hein. Hajj ke lafzi mani hujjat ke hein jo iss safar mein har imaan wale apnay nafs se karta hai aur Allah ki ayaat ke mutabiq apne kirdar aur shakhsiyat mein masbat tabdeeli lata hai ta ke wo apni kamzoriyon par ghalib ajaein aur apney banaye hoye buton ko tor dalein aur shirk se paak ho jaein jis ki bakhshish nahein hai. Hajj ki takmeel ke baad akhir mein madina ki taraf safar kiya jata hai. Ayaat ke mutabiq in sab baton ki samajh aur wazahat ke liye ye dars daikhna lazmi hai


Speaker

Muhammad Shaikh

Muhammad Shaikh

Download Servers