Ye dars har muslim ya ghair muslim dono ke liye bohat ahmiyat rakhta hai jo sirf Allah se haq ki talash mein nikla hai. Allah ki kitab so feesad aur mukamal sach hai jiske haqaiq ka inkar nahein kiya ja sakta aur ziyada tar log is baat se muttafiq bhi hein. Lekin har insaan ko Allah ki ayaat ki rooh ko samajhne mein dushwari ati hai kiyon ke Allah ki ayaat ki rooh Allah khud daita aur sikhata hai. Iss dars mein iss baat ki wazahat ki gai hai ke rooh kiya hai aur kis tarha Allah ne har insaan mein chahe wo kisi bhi mazhab, ilaqe aur zaban ka bolne wala hai iss mein apni ayaat ki rooh phonki ya dali hai. Aur kis tarha Allah insaan ko Quran ki ayaat se mutaasir karta hai. Mazeed iss dars mein iss baat ki bhi wazahat ki gai hai ke insaan ke paas iss baat ko janchne ke liye kiya kassoti hai ke jo ayaat ki rooh uss ko mili hai wo waqaee Allah ki taraf se hai ya nahein. Inn sab nukaat ki mazeed wazahat ke liye ye dars daikhna bohat ahmiyat rakhta hai
Muhammad Shaikh