Allah ne Quran mein insaan ki hadaayat ke liye usool aur qawaneen barri wazahat se bayan kiye hain. Inhen qawaneen mein Allah ki kitaab mein qisaas ka qanoon bhi shaamil hai jis mein is baat ki wazahat bhi kar di gai hai ke jo log mukhtalif soorat e haal mein logon ko ghalat tor par qatal karte hain ya zakham lagatay hain un par qisaas ka qanoon kaisay nafiz hota hai aur khaas tor par imaan walay se yeh ghalat amal ho jaye to usko is soorat e haal mein ayaat ke zareya apni kis tarah madad karni chahiye Quran mohakam ayaat ko Torat kehta hai jis mein yeh qawaneen likhay hain ke kya karna hai aur kya nahi karna hai aur jis se hum apni nafsiat aur shakhsiyat ko control karte hain aur yeh har zamane mein Allah ki kitaab mein hadaayat ke liye mojood hain is ke ilawa yeh dars is ki bhi wazahat kar deta hai ke is mauzo se mutaliq insaan ke apne khud banaye hue qawaneen aur usool bhi mojood hain jiska maakhuz yahudion aur esaion ki kitaab bible hai jo kabhi bhi Allah ki kitaab nahi thi aur duniya mein aaj jo bhi khoonrezi nazar aati hai woh insaan ke inhen khud sakhta qawaneen ki wajah se hai un sab baton ki wazahat ke liye yeh dars dekhna laazmi hai.
Muhammad Shaikh