Nikah

Aam tor par, jab hum shadi ke liye apne shareek-e-hayat ka intekhab karte hain to hamare tay karda usoool aur mayar aksar Quran mein Allah ke muqarrar karda rehnuma usoool se mukhtalif hote hain. Quran wazahat karta hai ke mard ko shadi ke liye aurat ka intekhab karte waqt ya apni beti ya behan ke liye shohar ki talash mein kin baton ko madde nazar rakhna chahiye. Is lecture mein nikah se mutaliq Qurani ahkaam aur qanooni azdawaji taluqat ki tafheem par roshni dali gayi hai. Sath hi ye bhi bataya gaya hai ke Khuda ke nazdeek kin aqsam ke logon se nikah jaiz hai, jo un afraad ke liye khaas tor par aham hai jo Islami taleemat ke mutabiq shadi karna chahte hain.

Tags

Speaker

Muhammad Shaikh

Muhammad Shaikh

Download Servers

You May Also Like

HD
Family Life
Nikah / Marriage