Har insaan jo is duniya mein aata hai aur bachpan ke daur se guzar kar jab bara hota hai aur shaoor ki zindagi shuru karta hai to usay zindagi ke mukhtalif adwaar mein bohat se zakham aur chouten lagti hain. Yeh zakham aur chouten teen terhan ki hoti hain jo hamari nafsiat par assar andaaz hoti hain aik mein dosray logon ke rawaiyon ka amal dakhal hota hai, dosray hamaray zaati amal ka dakhal hota hai aur teesray Allah ki taraf se hamari azmaish hoti hai. Yeh dars is baat ki wazahat karta hai ke kis terhan hum un nafsiati zakhamo par quran ki ayaat se Allah ki hadaayat ke sath ghalba pa satke hain aur apne nafs / nafsiat ko tasalii aur itminan ki haalat mein laa satke hain.
Muhammad Shaikh