Is video mein Muhammad Shaikh sahab ka 2008 mein maqami sahafiyon se sawal-o-jawaab ka doraniya pesh kiya gaya hai, jismein sahafiyon ne kuch bunyadi sawalat uthaye hain jin ke baare mein muashray mein abhaam paaya jata hai. Maslan: Qur’an mein namaz ka tareeqa kya hai? Hadith ka maqam kya hai? Kya Hazrat Isa (A.S) wafat pa chuke hain ya qayamat se pehle wapas aayenge? Aur duniya ki mukhtalif mazhabi kitaabon ka Qur’an se taqabuli jaiza waghera. In sab mozuaat se mutaliq sawalat ka Muhammad Shaikh sahab ne ayaat par mabni, bari wazahat, tafseel aur bunyadi aur aasan mantiq se jawab diya hai, jise sunkar dekhne walay mutma'in ho jaayenge. Yeh video Muhammad Shaikh sahab ki pichlay kaafi saalon par mushtamil Qur’an par mabni tahqiqat aur unki ayaat par mabni soch ki aaks aur nishandahi karti hai. Is zaaviye se in sab baaton ki mazeed wazahat ke liye yeh video dekhna bohot zaroori hai.
Muhammad Shaikh