Duniya ke har muashray mein mukhtalif nazriyat ke haamil log ya groh maujood hotay hain jin ki koshish yeh hoti hai ke jis nazriye aur aqeede par woh imaan rakhte hain usay sahi sabit karte hue doosron ko qail kiya ja sake. Muhammad Sheikh ne 2020 mein Bartania ka daura kiya tha jahan unki Qur'an ke mukhtalif mozuaat par mukhtalif logon se mubahisa aur guftagu hui thi. Usi silsile se mutaliq is video mein Muhammad Sheikh ki ek Bartani khatoon ke saath Qur'an ke mukhtalif mozuaat par guftagu hui jo ke baad mein ek mubahisay mein tabdeel ho gayi. Muhammad Sheikh ne in mozuaat ko Allah ki ayaat hi se daleel de kar sabit kiya hai. Ab yeh nazreen par munhasir hai ke woh is mubahisay ko ghour se dekh kar khud faisla karein ke dono mein se kin ke daleel zyada mantiqi aur wazni hain. Is liye yeh mubahisa dekhna laazmi hai.
Muhammad Shaikh