Maryam (A.S) jin se Isa (A.S) ki paidaish hui, un par sab se bara jhoota ilzam hai jo bani no insaan is ko Khuda ki jori ke tor par jor kar Khuda par laga rahe hain, jis ke sath Khuda ne qiyas kiya hai ke Isa (A.S) paida hue hain, aur natijatan Isa (A.S) ko Isaiyon ne jhoote tor par Khuda ka beta qarar diya hai. Is ghalat fehmi ko na sirf Khuda ne Quran mein sab se bare jhoote ilzam ke tor par puri tarah aur gusse se rad kiya hai, balki Khuda ye bhi batata hai ke Isa (A.S) sirf Maryam (A.S) se kaise paida hue kyunki wo hayatiyati salahiyat ke sath paida hui thin jisme ek mard aur aurat dono (ya dohri jins) mojood thi, jise aam tor par tibi baradari mein Hermaphrodite ke naam se jana jata hai. Ye lecture Quran Majeed se Maryam (A.S) ki jins se ek Hermaphrodite / dohri jins aur Isa (A.S) ki paidaish ka Allah ke "Hukum" se ek asal takhleeq (khud ki nasal) ke tor par na-qabil-e-tardeed saboot faraham karta hai jo kabhi dohraya nahi ja sakta. Aur aaj duniya mein unki nasal / aulaad ka wujood is lecture ko "Al-Quran Isa Ibn-e-Maryam (A.S) ke bare mein kya kehta hai" ke sath mil kar dekha jana chahiye.
Muhammad Shaikh