Quran woh wahid kitaab hai jo iblees aur shetan ki shakhsiyat ko mukammal tor par zahir karti hai. Uskay ilawa quran ki ayaat se yeh bhi wazahat ho jati hai ke kis terhan shetan ki shakhsiyat ke do rukh hain jis mein woh iblees ki hesiyat se Allah ki mukhalfat karta hai aur shetan ki hesiyat se ensaan ki mukhalfat karta hai. Aur woh logon ko mukhtalif tareeqon se gumraah karne ke liye kistarah Allah ke seedhay rastay par baith jata hai. Is dars mein yeh bhi bayan kar diya gaya hai ke kis terhan ensaan shetan ke waar se apni nafsiat ki hifazat kere. Un sab baton ki wazahat ke liye yeh dars deikhna bohat ahmiyat rakhta hai
Muhammad Shaikh