Hidayat ke samajhne ke lehaaz se ma’ni woh usool aur hidayat hain jin se rehnumai hasil karke manzil tak pohancha jata hai. Duniya mein khud saakhta insaan ke banaye huye apne mazaahib hain jo apni mazhabi kitabon mein zindagi guzarne ke usool batate hain. Lekin Quran woh waheed kitaab hai jo Allah ki taraf se hai aur is mein Allah ne ayaat ke zariye woh usool aur hidayat batayi hain jin se is duniya mein bhi achhi zindagi guzari jaye aur aakhirat mein bhi Jannat naseeb ho. Aur woh usool aur hidayat bhi batayi hain jin se duniya aur aakhirat mein nuqsan hoga. Kyunke Allah ne humein takhleeq kiya hai isi liye Quran woh waheed Allah ki kitaab hai jo har zamane ke har insaan ke liye hidayat hai. Is dars mein in hi sab baton ki ayaat ke zariye wazahat ki gayi hai jiski wajah se is dars ko dekhna bohot ahmiyat rakhta hai.
Muhammad Shaikh