Duniya mein insaan ke banaye hue mukhtalif mazhab aur unki mazhabi kitabon mein Khuda ka tasawwur mojood hai, jis ko log apne apne tareeqon se maante hain. Lekin unka yeh khud saakhta Khuda us but ki tarah hai jo insaano se kabhi baat hi nahi karta. Aur iske maan-ne wale apne is Khuda se yak-tarfa tor par apni khwahishat aur tamannaon ka izhar karte rehte hain, lekin Khuda ki taraf se unhein kabhi koi jawab nahi milta. Jabke buniyadi tor par agar haqeeqi Khuda mojood hai to usay insano se kisi zariye se humkalaam hona aur baat cheet karni chahiye, jo unke har tarah ke sawaalat ka jawab bhi de sake. Duniya ke mukhtalif mazhab ki kitabein jo is baat ki dawaa-daar to hain ke woh Khuda ki kitabein hain, lekin is baat ki bilkul wazahat nahi karte ke Khuda ka insano se baat karne ka kya tareeqa kar hona chahiye. Lekin jis tarah duniya mein insaan ke banaye hue mukhtalif mazhab mojood hain, waise hi is duniya mein Allah ki kitab aur haqeeqi deen Islam bhi mojood hai. Aur Allah apni kitab ke zariye hi har zamane ke insano se baat cheet karta rehta hai. Muhammad Sheikh ke is dars mein isi baat ki wazahat ki gayi hai ke kis tareeque se Allah apni kitab ke zariye barah-e-raast ya bil-wasila apne rasoolon ke zariye insano se humkalaam hota hai. Is saare tareeque ki wazahat ke liye is dars ko dekhna lazmi hai.
Muhammad Shaikh