Aam tor par Arabi lafz "Zikr" ki logon ke zehanon mein wazaahat nahi hai. Saada alfaaz mein "Zikr" ke ma’ni yaad-dahani ke hain. Yeh Zikr/yaad-dahani kisi zaat ya shakhs ya cheez ki khubiyon ya khamiyon ya un ke rawaiyon ke baare mein ho sakti hai. Zikr ke har giz yeh ma’ni nahi hain ke hum sirf kisi zaat ya shakhs ya cheez ke naam ko baar baar dohraate rahein ya un ki girdaan karte rahein. Isi tarah ba-hasiat Musalman, hum Allah ka zikr sirf us ke sifati naamon ki takraar aur dohraane se karte hain, jabke Qur’an aur us ki aayaat is baat ki tafseel se wazaahat karti hain ke kis tarah Allah ke baare mein us ki asal rooh ke saath zikr kiya jaye. Yaani mukhtalif halaton mein Allah Ta’ala ka kya rawaiya hota hai aur kis tarah woh apni sifaat par amal pira hota hai. In sab baaton ki wazaahat ke liye Qur’ani aayaat par mushtamil Muhammad Sheikh ka yeh dars bohot ahmiyat ka haamil hai.
Muhammad Shaikh